Banna - Banni
Main Page - Banna Banni
Aisi Apani Wife Ho

5' 6" jiski height ho,
Jeans jiski tight ho,
Chehara jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aise apni Wife ho.

Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhid me sab kahe side ho, side ho,
Bambai, Delhi ya
Gujarat ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.

Padosi jab baat kare to
haath me knife ho,
Dinner ke time candle light ho,
Ham me tum me
kabhi na koi fight ho,
Milane ke baad dil delight ho,
Hey prabhu teri archana meri life ho.
Aise apni Wife ho.

Kaash yeh concept
.0001 % bhi right ho
Agar aisi apni wife ho
To kya hasin life ho
Har kisi ki yahi farmaish ho
Kudrat ki bhi aajmaish ho
Khudah ke software mein bhi
Bug ki gunjaish ho
Ay kaash, kahin to,
Ek aisi paidaish ho
Aisi apni wife ho !!
 

TOP