Banna - Banni
Main Page - Banna Banni
Yeh Hari Hari Chooria


Tere Saajan Ke Ghar Se
Aaya Ye Pyara Bhulaava
Yeh Phoolo Ka Gajara
Yeh Hari Hari Chooria

Baabul Ne Tere Bare Naazo Se Paala
Mayya Ne Banno Ka Saaj Sajaya
Pahana Ke Laal Lal Joora
Yeh Phoolo Ka Gajara Yeh Hari Hari Chooria

Maamaji Chunari Ranga Kar Laaye
Maai Ne Laakho Sitaare Jarai
Paayal Aur Bichoo Ke RunJun
Yeh Phoolo Ka Gajara Yeh Hari Hari Chooria

Bhaiya Kooshi Se Na Phoole Samaye
Hanse Par Naino Me Jal Bhar Aaye
Mere Bhana Ne Pehana Yeh Kangan
Yeh Phoolo Ka Gajara Yeh Hari Hari Chooria

TOP